Beauty Tips for Face fairness in hindi

Chehre ka rang nikharne ke liye apko kuch tips ko follow karna padega aur is tips ko acche se follow karne ke baad aapki skin par nikhar jarur ayega iss me koi shanka nahi hai.
Beauty tips for face me hum janenge 6 important tips for glowing skin hindi me .
6 important tips for glowing skin hindi
Toh jante hai kya hai vo face glow tips in hindi me –
- Chehre ko sundar aur chehre ki tvacha ko gora karne ke liye aapko din me kam se kam 10 – 12 glass paani pina jaruri hota hai. Paryapt matraa me pani pine se aapke sharir me jama hone wali gandagi dur hoti hai. Iske karan apke body me naye cells paida hone me madat milti hai.
- Rojana 1 ya 2 glass taje fal khana chahiye iske jagah par aap rojana taaje falo ka juice bhi pi sakte ho. Falon ka juice pine se aapke sharir me vitamin c ki matraa badhti hai aur iske karan apke chehre par pimples ki samasya dur hoti hai.
- Aapko rojana din me 8 Ghanta nind leni compulsory hai nind lene se apke sharir ki tvacha ko aram milta hai aur apki skin taro taja rehti hai.
- Subah jaldi uth kar morning walk ke liye jane se aapke chehre ke pores ko taaji hawa milti hai aur chehre ki skin ki fairness badhaane me madat milti hai.
- Din me rojana ek nimbu subah aur ek nimbu shamko pani nichodkar nimbu pani pine se apki vitamin c ki kami door hokar apke chehre ka nikhaar lautata hai. Nimbu ko aap chehre par bhi laga sakte ho.
- Subah uthne ke baad sabse pehle ek glass pani pina chahiye aur baadme thode samay baad shouch yaniki toilet jana chahiye aisa karne se apke pet ka jama hua maila achhe se saaf hokar apka pet swasth rehta hai aur apke chehre par pimples problem solution ho jata hai.
Shahnaz Hussain Tips for Glowing skin in hindi
Beauty Tips in hindi for glowing skin :
- Chehre ka kalapan aamtur par chehre ki tvacha par dead skin jamne ke karan hi aata hai. To hum sabse pehle shuruvat karte hai dead skin ko nikalne se . Iske liye aapko hapte me 1 ya 2 baar 1 nimbu ka ras nikalkar is ras me baking soda milakar isko chehre ko swacha pani se dhone ke baad skin ke upar lagana hai aur sukhne tak rehne dena hai. Isko karne se apke chehare ki dead skin remove karne me madat milegi aur chehre par nikhar ayega.
- Haldi powder ke sath besan aur malai ko milakar iska paste banale, Is paste ko hapte me 2 bar chehre par lagakar 15 minute baad pani se dhone se apke chehre ka rang nikharne lagega.
- Chandan powder me ek chammach nimbu ka ras aur tomato ka ras nikalakar is ka achha gadha paste banale, Is paste ko chehre par lagane se chehre ke pimples aur allergy hone ki problem se chutkara mil jayega.
- 1 Kela (banana) lekar is ko acche se smash yaniki barik karke isme shahad aur nimbu ke kuch bund milakar is paste ko chehre par aur gardan par 20 minute rehne dene se apke chehre ki twacha soft hoti hai.
- Hapte me 2 bar chehre ko acche se scrub ka istmal karne se chehre ke holes me oxygen lene ki taakt aajati hai aur chehre ki dead skin nikal kar ek gori twacha apko milti hai.
- Tea Tree oil facewash oily skin ke liye sabse badhiya hai chehre ki aalergy aur rang nikharne ke liye.
- Neem facewash ka istamal dry skin wale logo ko fayde mand hota hai chehre ko saaf rakhne ke liye.
- Sundar tvacha pane ke liye apko hamesha tanaav mukt yaniki tension free rehna jaruri hai isliye apko jo cheeje karne se khushi milti hai vo chije karne me man lagao aur hamesha khush raho aur chehre ki rangat badhao.
Mere.face pr pimple bhutnjyda ho rhe aur maine dwa bhi bhut leli pr mera face thik nhi ho raha h please.koi upaye btao yaar